Dil fir se lagaane ki chaahat mujhko bhi hai...
Do pal ke liye mere hokar dekho,
Shaayad tumhara junoon ban saku...
kisi din fursat me meri baaten sun kar dekho,
Shaayad tumhari saanson ka sukoon ban saku...
Agar baaki ho dil me koi armaan to bata dena mujhko,
Shaayad inn raaston me manjil ka mukhbir ban saku...
kuchh kadam mera haath pakad chal kar dekho,
Shaayad jiski talaash thi wo humraahi ban saku...
Aaj meri chhodo bass apni kaho tum,
Shaayad jo kisi ne na sune wo raaz sun saku...
Kah kar to dekho dil ki har baat mujhse,
Shaayad jo bikhar gaye the kabhi wo khaab fir se bun saku...
Magar ek khalish to apne dil me bhi hai,
ki kyu ateet ke lautne ke intezaar me rota hoon...
jab koi aur bhi meri shaksiyat ka aashiq,
to kyu na me ab kisi aur ka hota hoon...
Sahi lahze me kahu to aye zindagi,
dil fir se lagaane ki chaahat mujhko bhi hai ...
Magar iss mohabbat ka tazurba ka hi kuchh aisa mila hai mujhko ki,
Tere paas aana bhi nahi chahata...
tujhse door jaana bhi nahi chahata...

Superb
ReplyDelete