Mere mahboob mujhse wo pahle jaisi mohabbat na maang....
Mere mahboob mujhse wo pahle jaisi mohabbat na maang,
Wo aashiq mizaazi main kahin door chhod aaya hoon...
Mat ummeed kar mujhse wo Ishq-e-junoon betahasha,
Main Ishq aur waqt, dono se rishta tod aaya hoon...
Kyu aaj dhoondhta hai mujhme wo shakhs puraana,
Main kai roz pahle uske zism pe ek rangeen kafan odh aaya hoon...
Wo koi aur waqt tha jab main be-wajah be-fikar bolta tha,
Main aaj dil ki khamosiyon se ek mazboot rishta jod aaya hoon...
Hain kuchh log jo ab bhi mujhe akela rahne nahi dete,
Warna to ek arsa pahle main iss jahan se muh mod aaya hoon...
Kahne ko to ab bhi wahi lahza mera,Wahi adaavat hai mujhko waqt se,
Magar ab shikayaten karu,Wo pahchaan to kahin peechhe chhod aaya hoon...
Ab nahi hai bair mujhe iss safar me tanha chalne pe,
Main manjil ki chaah to kabka chhod aaya hoon..
Ab bhi lagta hai mujhe kuchh to hai, jo mera hokar bhi mujhme nahi hain,
Aaine me khud ko ek baar dekh lena, Shaayad tujhme hi khud ko main thoda sa chhod aaya hoon...

Comments
Post a Comment