Mera Intezaar Karna....

Suno....

Haan mujhe bhi pata hai hum door hain,
waqt ke haathon hum dono hi mazboor hain...
tumhe rok bhi na sakta ye bhi pata hai mujhe,
shayad laut kar na aaoge ye bhi pata hai mujhe...

Haan itna aasaan nahi hai yu sab achaanak khatm karna,
Magar bass itna chahata hoon ki Mera intezaar karna....

Bass mera intezaar karna kyunki ek din ek mukaam pe pahunch ke,
aaunga tere maa baba se tera haath maangne,
aur kahunga unse uss din ki mujhe meri zindagi dedo...
Mein kahunga unse jo vaade kiye the humne wo ab poore karne hain...
wo jo khwaab dekhe the saath me wo ab mukammal karne hain...
unhe bataunga ki tumne mujhse kaha tha ki,
tumhari maa ko mein apni maa kah sakta hoon...
to jab aaunga tab apne liye maa ka saaya maangne aaunga...
tumhare apno ko apna banaane ,
tumhe apni dulhan banaane aaunga...

Bass meri chahat pe thoda sa aitbaar rakhna,
Mein bass itna chahata hoon ki mera intezaar karna....

Haan mera intezaar karna kyunki aaunga ek din tere liye payal lekar,
wo jo mene kaha tha ki apne haathon se tujhe pahnaunga....
kuchh choodiyan jinki khanak tere haathon se hi aayegi,
tere saath beth kar teri zulf ko fir se sahlaunga....
hum har mausam ko waise hi jiyenge jaise socha tha humne,
wo sardiyon me ek kambal me beth kar coffee piyenge,
aur baarish me sadkon pe ghoomenge aur ice cream khayenge....
Haan mujhe yaad hai ki tumhe garmiyan kuchh khaas pasand nahi hain,
to chalenge kahin door kisi hill station pe garmiyan kam karne....

ye jo naak pe gussa rahta hai tumhari, ise barkaraar rakhna,
Mein bass itna chahata hoon ki mera intezaar karna....

Mera Intezaar karna kyunki koi aur tera ghanton intezaar na kar paayega,
meri tarah pagalon wala koi tujhe pyaar na kar paayega....
Kon teri har tedi medi har tasveer ko sambhal kar rakhega,
aur kon tujhse judi har taarikh ko yaad rakhega....
Haan mujhe pata hai ki tum bhi akele me beth kar bahut rote ho,
kisi aur ka phone lekar usme meri tasveer dekhte ho,
wo jitni bhi nazm likhi hai tumhare liye, wo sab padte ho....
Pata hai mujhe ki tumhara bhi dil karta hai ki bass aao aur lipat jaao,
aur baar baar apne pyaar ka izhaar karo mujhse....

Mein nahi kahta ki yaadon me meri khud ko bekaraar rakhna,
Mein bass itna chahata hoon ki mera intezaar karna....
Bass mera intezaar karna....




Comments

Post a Comment

Popular Posts