Wo aur Main...


Wo sawaaliyaa sa hai aaj kal ,
Kyu mash-hoor itnaa kar diyaa…
Kyu likhtaa hoon ab bhi use,
Jisne door mujhko kar diyaa…

Kyu wo aakhiri si kiitaab hai,
Meri har gazal me kyu dhal gayaa…
Mujhe aag dekar gaya tha jo,
Kyu khud me hi wo jal gayaa…

Kyu aaj bhi use chaahataa,
Jo raqeeb ki baahon me hain…
Kyu hoon khadaa usii mod par,
Wo kisi aur ki raahon me hain…

Mere zakhmon ki keemat lagaa,
Unhe naap jo aahon me hain…
Kuchh naasoor hai wahin saamne,
Kuchh use paane ki chaahon me hain…

Wo jo hasraton par gumaan tha,
Uski be-hayaayi se tootaa hai...
Usne farq mahsoos kiyaa tha tab,
Haan, uski be-wafaai ne lootaa hai...

Wo sawaal ab bhi adhoora hai,
Wo bataaye kyu itnaa jhoothaa hai...
Usse aaine thukraate ab,
Uskaa saayaa bhi Uss-se roothaa hai…

Comments

Post a Comment

Popular Posts