Mene maa ko dekha hai.....

Mene baarish ki boondo ko aapas me ladte dekha hai...
Mene inn khamoshiyo ko kabhi baate karte dekha hai...
Me to sard raaton ko razai me chhup chhup kar roya hu,
Mene bachpan ko apne pal pal bikharte dekha hai...
Mene zindagi ke harr zarre me apni maa ko dekha hai....
Mene maa ki mamta ko kalpanao me dekha hai...
Mene uss aanchal ko apne sapno me dekha hai...
Wo jo ab bhi maa ki kadar nhi jaan paye hai,
Unse kahna mene rab ko apni maa me dekha hai...
Mene uss khuda ki jagah apni maa ko dekha...
Maana maa ne mere sang ye raasta na dekha hai...
Par mene ab bhi maa ko apne sang chalte dekha hai...
Tasveer maa ki har lamha saamne hai mere,
Mene mere apno ko maa ki yaad me marte dekha hai...
Mene yaado ke dariya me apni maa ko dekha hai...
Wo jinhone maa ke hote huye bhi maa ko naa dekha hai...
Wo mujhse poochhe mene maa ko kaha kaha dekha hai...
Ab bhi maa mere sang bethi hai dekho,
Sach kahu to barson se mene maa ko na dekha hai...
Par ye bhi sach hai mene har mausam me maa ko dekha hai....
Mene yahan bhi maa ko dekha hai...
Mene wahan bhi maa ko dekha hai...
Haa mene apni maa ko dekha hai...

Comments

  1. The most heart touching
    Amazing sachin

    ReplyDelete
  2. .................������

    ReplyDelete
  3. Bahut khoob

    Iss poetry mai hmne maa ka aksh dekha hai

    ReplyDelete
  4. Har zarre me maa ka lams hai
    Har andhere me maa ke anchal ki roshni

    U made us remember ki hum unhe roz kitna andekha karte hai.....
    Kabhi college toh kabhi office....

    Par wo hame andekha nahi karti.....
    Mother- a legend hidden in a small world

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts