Meri chahat

Me wo khwaab ban na chahta hu jiski khwaahish tum ho,
Me wo aaj ban na chahta hu jiska kal tum ho....

Waqt ban jau me aisa jo thahare tum par,
Mujhe wo safar ban jaane do jiski manjil tum ho....

Me wo rang ban jau jo sirf tum par chadhe,
Jism ban jau aaj jiski rooh tum ho...

Tere haatho ki mehndi ki mahak ban jau  me,
Ashk ban jau me jab dard tumko ho...

Khuda ki sabse nayab takhleeq ho tum,
Me wo chauraha ban jau jahan moorat tum ho....

Teri zulf ki lahraati angdayi me banu,
Koi raag ban jau me jab ragini tum ho...

Ab bhi to chahte kam hai meri,
Bas itna kahunga ki,
Zindagi tum ho....
Har khushi tum ho...
Bas tum ho...
Aur bas tum ho....

Comments

Popular Posts