Tera ishq......

Tere khamosh dil ki raza jaan kar,
ibaadat ki tumhi ko khuda maankar...

apni chahat to wo kitni nadaan thi,
toot gye berukhi ko saza maan kar...

thodi nazaakat thi apni khamoshi me,
khilkhila jaate ho jo tum wajah jaan kar....

haan mohabbat thi teri har baat se,
chaha tumhii ko saara jahan maan kar....

mujhe aksar khuda se sikayat thi jo,
saari mita di tumko mere naam kar...

har adaa teri mujhko alag si lagi,
kaise sharmaate ho mujhko hairaan kar....

nahi tumse door rahna mujhe ab,
ye vaada hai dil ko gawaah maan kar.....

Comments

Popular Posts