Mujhse Mere Mehtaab ka Naam Mat Chheeno Daastan AgraFoodFestival 2018

You tube Link to this Poetry

wo jo bheje the sarhad se usne ,
wo paigaam mat cheeno....
mujhse mere mehtaab ka naam mat chheeno...

kaise bhool jaau jab wo shaadi ke baad pahli baar chhutti aaya tha,
sarhad ki saari kahaani usne ek jhatke me sabko suna di thi,
pahle maa ki god me sar rakh kar so gaya,
bhaiyon ko dulaar, bahano ko pyaar...
tab jaake kahin mere paas wo aaya tha..
uss ek mahine ki chhutti me humne saara jahan ghoom liya,
wo dhaabe wali chai, wo sadkon pe raaton ko ghoomna,
wo kohre ki sair, wo chhoti ungli pakad kar chalna....
wo gharwalon ki bheed me ankhon aankhon me pyaar jataana...

wo jo uske saath aayi thi, us hothon ki laali ki pahchaan mat cheeno..
mujhse mere mehtaab ka naam mat chheeno...

wo jo khaton ka intezaar tha wo mujhe aaj bhi yaad hai,
jinke jawaab dhoondhte mujhe mahino lag jaate the..
uski tasveeron se baat kar mene wo waqt guzaara tha,
 jab yaadon me uski me kuchh aur na kar paati thi...
wo jo khaton me usne sarhad ka mizaaz likha tha,
wo bandookon ki awaaz mene bhi suni thi....
wo jo likha tha usne ki ab khat kuchh din nahi aayega,
uss khat me jaane kitne marne waalo ki cheekh mene bhi suni thi,
uss mustaqil intezaar ke baad bhi uska khat nahi aaya,
wo khud hi tirange me lipta mere saamne aagya...

uski mutthi bhar yaadon ke badle mili,
unn bandookon ki salaami ki shaan mat cheeno,
mujhse mere mehtaab ka naam mat cheeno....

kaise dedu iss ansh ko kisi aur waalid ka naam,
wo jo mere bharose pe apni maa ko chhod gaya,
taaki yahan sabki maa ki hifazat wo khud kar sake...
wo mere liye ye apna wajood chhod gaya,
taaki apni maa ki hifazat ye khud kar sake...
uski wardi ko aaj bhi mene sambhal kar rakha hai,
yaad aati hai uski to pahan leti hoon...
isi bahaane uski rooh ko aaj bhi mahsoos kar leti hoon...


mere mustaqbil me juda uski saheedi ka abhimaan mat cheeno,
mujhse mere mehtaab ka naam mat chheeno....

Comments

Popular Posts