Ateet

Mujhe aaj bhi chain se sone nahi deta,
Mere Ateet ka saaya Mujhe aaj bhi sataata hai...
Me khul kar muskara na lu pal do pal,
Mera ateet mujhe aaj bhi rulaata hai...
Jo ise bhool kar kisi aur ka haath  pakadna chaahun,
Mera ateet har baar beech me aajaata hai...

Sabko dikhaata hu ki fark nahi padta mujhe,
Magar mera ateet mujhe andar hi andar khaata hai...
Chaah kar bhi me kisi aur ka ho nahi pata,
Mera ateet mere mustaqbil ko har dafa jalaata hai..
Chupke se beth kar ro leta hu me aksar,
Mera ateet mujhe aaj bhi daraata hai....

Me lakh koshish karlu aaj me jeene ki,
Mera ateet mere aaj ko tabah kar jaata hai...
Mita dena chahata hu apni yaadon se ateet ko,
Magar mera ateet meri taqdeer ban jaata hai...
Darr lagta hai khud ko khatam na kar du kabhi,
Mera ateet mere hathon ki lakeer ban jaata hai...

Me rooh ban kar chala jaana chahata hu kahin door,
Magar mera ateet mera shareer ban jaata hai...
Iss se bachne ko aksar me raaste badal deta hu,
Magar mera ateet to poora shahar ban jaata hai...
Theek hai aaj se betha hu me bhi intezaar me,
Dekhta hu mera ateet ab kab laut kar aataa hai...

Comments

Post a Comment

Popular Posts