Shikasht

Mujhe fir se waqt ne shikasht di,
bata diya ki meri bisaat kya hai...

Fir unhi raaston me khada hu mein,
ab jaake jaanaa ki hayaat kya hai...
  
Har lamha tadap kar jiya hai mene,
aane wali gamon ki wo raat kya hai...

Waqt se hai ye shatranj kaisi,
pyaadon ki sheh aur maat kya hai...

Aaino me zara dekhu khud ko,
mujhe hai pata meri aukaad kya hai...

Chhup ke betha hai wo jhaadiyon me,
zakhmi Sheron ki ghaat kya hai...

Haan hai falak ke khaab mere,
sang chalne walon ka saath kya hai...

Ilzaam mujhpe dhar gaye wo,
unki shikasht me mera haath kya hai...

Khud ko samjhaun ya samjhaun unko,
anjaam-e-shikasht, wo halaat kya hai...



Comments

Popular Posts