Har dil me insaan ho....

Me kya chahu bas itna hi,
Har dil me insaan ho...
Chahe mandiron me azaan ho,
Ya maszid raam ke naam ho...
Sab ek likha sab ek sa,
geeta bible ya quran ho...

Me kya chahu bas itna hi ki,
Har dil me insaan ho...

Ye karam pe baanta karte hain...
Ye dharam pe baanta karte hain..
Ye nafrat ke thekedaar hain,
Insaan ko khud se kaata karte hain..
Kya chaha mene tere liye ki,
Har kad yahan ek samaan ho...

Me kya chahu bas itna hi ki,
Har dil me insaan ho...

Nar naari vashibhoot yahan,
sab maya ka hai khel ye....
dwesh irshya jala gyi,
may dhoomra me udaa gayi..
jo doobe khudgarzi me,
unhe manav hone pe ab abhimaan ho...

Me kya chahu bas itna hi ki,
Har dil me insaan ho...

yahan bhai bhai ka kaatil hai,
yahan ghrana pataaka lahraati...
ye kalyug ki maati hai maa,
yahan har soch giri huyi karhati...
ab baaki hai ummeed yahi,
tu maati ki shresth santaan ho...

Me kya chahu bas itna hi ki,
Har dil me insaan ho...

kaise jag me mujhe chhod gaya,
yahan sapno ka koi mol nahi...
kyu unke swapn poore karu,
kya mere vichar anmol nahi...
ab yahi mera udgam hota hai,
aur yahi mera utthan ho...

Me kya chahu bas itna hi ki,
Har dil me insaan ho...

na me chhota na tu bada,
na teri shakh mahaan ho...
na meri shakh mahaan ho...
sab ek bane iss maati se,
kya ant se tum anjaan ho...
maanavta hi ho shresth yahan,
tera kuchh to aatm-sammaan ho....

Me kya chahu bas itna hi ki,
Har dil me insaan ho...

Comments

Popular Posts