ye waqt fir laut ke na aayega...........

kyu aankhon me samet ke rakhe hain itne sapne,
kyu soch ke bethe ho aane wala kal tumhara hoga,
kya anjaan ho tum iss waqt ke kaaydon se,
kyu sochte ho ye waqt tumhara ho jayega...

aree sambhal jao ab aye musafir,
ye waqt fir laut ke na aayega....

kabhi jazbaat ko junoon ki hadd tak pahuchaate ho,
kabhi khud ko khokar tum jo khusiyan paate ho,
lagta hai raaston me thokar abhi theek se lagi nahi hai,
ya sochte ho aage zindagi ka safar thoda saral ho jayega...

fir se kuchh waqt inn raaston ko dekh lo,
ye waqt fir laut ke na aayega.....

ho sakta hai ye tareekh tumse kabhi koi intekaam  lele,
 ya guzarte waqt ka koi pahar tumse koi kaam lele,
jab ghadi ke kaanton ki kathputliyan ban jaoge,
tab bhi waqt ka khel shayad hi tumhare samajh aayega...

ghadi do ghadi iss waqt ko nihaar kar to dekho,
ye waqt fir laut ke na aayega...

chalo aaj kuchh pal ruk kar dekho,
inn vaadiyon ko ya iss mausam ko dekho,
kuchh kah ke jaate hain ye parinde tumse,
ki aye musafir,
samet le mutthi me waqt ko thoda sa,
warna tu bhi ek din daastan sa ho jayega...

bahut kuchh gawaya hai waqt ke saath isne,
haan ye waqt fir laut ke na aayega.....
ye waqt fir kabhi laut ke na aayega....

Comments

Popular Posts