Baawala-pan

Ek roz khud ko aaine me dekh,
Khil-khilaa ke hass padaa wo aaine waala 'Daastan'....
Kah raha tha wo ki baawala ho gaya hai tu,
Zameen pe pada hai chhod kar apna Khwaabon ka aasman....

Haan Sach, Baawala-pan hi to tha mera....

Be-wajah muskaraane jo laga tha,
Ajnabee mahfilon me apna gam sunaane laga tha....
Apni hi asaliyat se door jaane laga tha,
Aur kisi gair ke fareb ko apnaane laga tha....
Mukammal muhabbat ke khwaab sajaane laga tha,
Aur bikhre huye khwaabon ki tasveer bhulaane chala tha...
Kisi ki zindagi me khusiyaan banaane chala tha,
Aur apni chaahaton ko zinda jalaane chala tha....

Haan Baawala-pan hi to tha mera.....

Ki apni uljhano me itna majboor ho gaya tha,
Jo sach me mere apne the unse door ho gaya tha....
Koi haseen meri aankhon ka noor ho gaya tha,
JIske jaane se khwaabon ka jahaan chakna-choor ho gaya tha....
Jiski muhabbat pe mujhko guroor ho gaya tha,
Ussay kisi aur ki chaahat ka suroor ho gaya tha....
Mene jaan se jyada ussay chaaha ye kasoor ho gaya tha,
Faisalaa taqdeer ka mujhe manjoor ho gaya tha....

Haan Baawala-pan hi to hai mera.....

Jo aaj bhi muhabbat karna chaahata hoon,
Kisi ki aankhon me aaj bhi doob kar marna chahata hoon....
Kisi ke door jaane se darna chaahata hoon,
Adaavat ki unchaayion se utarna chaahata hoon....
Mahfilon me fir se kisi ki chaahat ka zikra karna chaahata hoon,
Fir se kisi ki Dhadkane sun arz karna chaahata hoon...
Haath pakad kar kisi ka meelon door tak chalna chaahata hoon,
Agar Gunaah hai ishq karna to fir se gunaah karna chaahata hoon....

Bass yahi to Baawala-pan hai mera....

Comments

Popular Posts