Yakeen-(part-1)

mujhse meri chahaton ka hisaab maang kar,
waqt chal diya mujhse mera mehtaab maang kar...

kuchh teri chahaton ka asar tha ye ki,
har gam bhula diya tujhse ishq ki sharaab maang kar...

Na ilm tha mujhko tujhse kisi mulaakaat ka..
Na khayaal tha koi tujhse ishq ki kisi baat ka...
Achanak hi Guftagu ka silsila kuchh yu chal pada,
Ki ehsaas jaata nahi hai ab uss khaabon waali raat ka.....

Haan wo raat raat jab mujhse tum izhaar kar gaye,
Jab bola tha tumne ki tum mujhse pyaar kar gaye....
Mujhe mere ateet se nikaalne ka yakeen dilaaya tha,
Ki jab meri har aadat par tum apni jaan nisaar kar gaye....

Comments

Popular Posts