Maa aur yaadein....

Ruba-roo mere wo apna aanchal lekar rahti hai,
Pal bhar bhi mujhko dhoop me wo rahne nahi deti...

Ashk uske bhi girte hain mera har zakhm dekh kar,
Sitam mahfilon ke tanhaa mujhko wo sahne nahi deti...

Jholiyaan bhar deti hai meri bass nazar dekh kar,
Khwaahishon ka pitaara khol kar mujhko wo rone nahi deti...

Kayi baar haath jalaa-jalaa kar usne fulke banaaye the,
Qayaamat ki raat bhi mujhko khaali pet wo sone nahi deti...

Aksar uski fikar mujhe bachkaana lagti hai,
Daawat ke liye bhi ghar se bhookhaa mujhe wo jaane nahi deti...

Baahar log mujhe aalasi nikamma kahte hain,
Ghar me kaam mujhe koi mera khud wo karne nahi deti...

Baazaaron me mera haath pakad kar chalti hai,
Saahil se door kashti ko meri wo bahne nahi deti...

Bachchaa ban kar khelti hai har khel mere saath,
Yaaron ki kami aksar mujhe wo khalne nahi deti...

Mujhko uski taqleef ka koi ehsaas na ho jaaye,
Muskaraahat hothon se apne wo kabhi jaane nahi deti...

Badi bholi hai Maa meri yaaro,
Uske naa hone ki shikaayat khuda se wo kabhi karne nahi deti...

Har roz mujhse khaabon me milti hai wo,
Waqt ka pahiyaa palat peechhe mujhko wo aane nahi deti...

Ek arsaa pahle mujhse Maa ka saaya chhoot gaya,
Magar saaye se door apne mujhe wo rahne nahi deti...


Comments

Post a Comment

Popular Posts